Wednesday, 5 April 2017

Dhnd Lo Humsafar

Koi dhond esa hmsfar
jse tu apna bna ske
Tu kahe k rat hy
Or wo chandni luta ske
Tere ansuon ko wo smet le
K koi na tjko rula ske
Teri rah me jo ho mushklen
Apni palkon se hta sky
Wo ho tere itna qreb k
ksi ki yad b na tjko asky
Tujhe rkh le apny hisar me
K tujko na koi chura sky

Mashwara

Us ne door rehnay ka Mashvara b likha hai Saath hi Muhabbat ka wasta b likha hai Us ne yeh b likha hai meray ghar nahi aana Aur saaf saaf lafzon mein raasta b likha hai kuch haroof likhay hain zabt ki Naseehat mein kuch haroof mein us ne haosla b likha hai Shukriya b likha hai dil se yad karnay ka Dil se dil ka hai kitna fasla b likha hai Kia usay likhein Kia usay kahain Jis ne bejaan kar k jaan b likha hy,

Ghazal

Bhuli bisri hui yaadoN mein kasak hai kitni
Doobti shaam ke atraaf chamak hai kitni
Manzar E gul to bus ek pal k liye Thahra tha
Aati jaati hui saansoN mein mahak hai kitni
Gir ke Too-Ta nahi shayed woh kisi pat-thar per
Uski aawaz mein taabindaa khanak hai kitni
Apni har baat mein woh bhi hai hasinoN jaisa
Us saraapay mein magar nok plak hai kitni
Jaate mausam ne jinhein chhoR diya hai tanha
Mujh mein un TooT-te pattoN ki jhalak hai kitni

GHAZALS

GHAZALS
بیانِ حال مفصّل نہیں ہوا اب تک
جو مسئلہ تھا وہی حل نہیں ہوا اب تک
نہیں رہا کبھی میں تیری دسترس سے دور
مِری نظر سے تُو اوجھل نہیں ہوا اب تک
بچھڑ کے تجھ سے یہ لگتا تھا ٹوٹ جاؤں گا
خدا کا شکر ہے پاگل نہیں ہوا اب تک
جلائے رکھا ہے میں نے بھی اک چراغِ امید
تمہارا در بھی مقفّل نہیں ہوا اب تک
مجھے تراش رہا ہے یہ کون برسوں سے
مِرا وجود مکمل نہیں ہوا اب تک
دراز دستِ تمنّا نہیں کیا میں نے
کرم تمہارا مسلسل نہیں ہوا اب تک
Bayaan E haal mufassal nahi hua ab tak
Jo mas’ala tha wohi hal nahi hua ab tak
Nahi raha kabhi main teri dastaras se door
Meri nazar se too ojhal nahi hua ab tak
BichhaR ke tujh se ye lagta tha tut jaunga
Khuda ka shukr hai paagal nahi hua ab tak
Jalaye rakkha hai main ne bhi ek chiragh E umeed
Tumhara dar bhi muqaffal nahi hua ab tak
Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
Mera wajood mukammal nahi hua ab tak
Daraaz dast E tamanna nahi kiya main ne
Karam tumhara musalsal nahi hua ab tak

Poetry